Saturday 27 October 2012

very sad ghazal and sms

Pal main doori ho jati hai
Zaat adhori ho jaati hai

Aankhon main neend aati nhi
Raat poori ho jaati hai

Pehle to hoti hai Chahat
Phir Majboori ho jaati hai

Kuch logon ki lamha bhar main
Khuwaish poori ho jaati hai

Had se pyar guzar jaye to 
Aksar doori ho jaati hai 


Kya hua jo tumhara sath nahi
Mere hathoun mein tumhara hath nahi

Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat mein zarori mulaqat nahi

Mein sari umer tarsa hoo chahat ke liye
Mere naseeb mein shayad yehi sogaat nahi

Iss andaaz se bikher ke phir simat na saka
Mujhey samaitne wala koi haath hi nahi

Jis ki dosti peh naz thaa, wo dost bhi gaya
Kis garv se kaha maine koi baat nahi. 


Kbi zid mein tere ho gay,
Kbi dil ny tujhy ganwa dia.
Essi kashmakash mein rahy sada,
Tu ny yad rakha ya bhula dia.
Kabi baibasi mein hans diye kabi hansi ny hum ko rula dia.

kabi phool se rahi dosti
Kabi hath kanton se mila dia.
Kabhi aik ko apna na kr saky,
Kabhi khud ko sab ka bana dia.
Yun he din guzar gaye payar k,
Kabi ik khawab khud ko bana liya.
Jo khawab ubhray in aankhun main, 
Unhain aankh me he sula dia... 


Baarish huii to phuulon ke tan chaak ho gaye 
mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye 

baadal ko kyaa khabar ki baarish ki chah mey 
kitane buland-o-baalaa shajar khaak ho gaye 

jugno'n ko din ke waqt paka.dane ki zid kare'n 
bachchay hamaare ahad ke chaalaak ho gaye 

lehraa rahii hai barf kii chaadar hataa ke ghaas 
suuraj kii shah pe tinke bhii bebaak ho gaye 

suuraj dimag log bhii iblaag-e-fikr me'n 
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye 

jab bhii gariib-e-shahar se kuchh guftaguu huii 
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye 

saahil pe jitne aab guziidaa the sab ke sab 
dariyaa ke rukh badalate hii tairaak ho gaye 








Muhabbat ik Safar ka Silsila hai... 
Bhechar k Koun Kis ko Pohchta hai... 

Jesay Manga tha Maine har Dua may... 
woh Bin Mangay kisi ko Mil gaya hai... 

Jesay har dum dukh Milay ho'n.... 
Khushi ko woh kahan Pehchanta hai... 

Jesay Parwa nahi meri Zara bhi ... 
woh Shaks najanay raat bhar kion jagta hai...

yaad shayari sms


Tamanao ki dil main fiza hoti hai,
Hasrat labon pe aye tu dua hoti hai,
Chalo usey dil hi dil main yad karein
Suna hai dil ko dil se rah hoti hai…

Usse ye baat Samjhao Tumhen koi yaad karta he…
“Kabhi to milne Aa jao Tumhen koi yaad karta he…
Hamare Sheher se jab tum gaye the Ham ne Na Roka…
“Hamare Dil se mat jao Tumhen koi yaad karta he…..
“Tumhare Naam ki har shaye Wahin mojud he lekin…..
“Kabhi khud bhi chale Aao Tumhen koi yaad karta hai….
“Wafa do ge wafa don ga jafa do ge khafa hon ga…..
“Wo baaten phir se Dohrao Tumhen koi yaad karta hai


Yad Karny Ki Ham Ny Had Kar Di..
.Bhool Jany Mein Tum Bhi Kamal Rakhty Ho..

Teri yaadon ka mehal banaya meine,
aarzo ka diya us mein jalaya meine,
yaad aaney wale tujhey meri qasam,
koi wo lamha bata jiss mein tujhey bhulaya meine.








funny sms


Lub pe ÅÅti hy duÅ bÅn k tamanna meri,
Sim band hojae allah kare teri,
Dur Dunya me mere sms se ujala hojae,
Jo muje sms na kare uska rang kala hojae,
Hy mera kam faqiro ko sms karna,
Knjuso or garibo k inbox bhrna,
Mere Allah inhe b ab gerat ajae,
Ye sms parhte hi inka b sms ajae
Kaash Main Teri Haseen Naak Ka Chooha Hota.
Tu Bari Chah Sy Bary Maan Sy Nikalti Mujh Ko.
Main Teri Unglion Main Sharma Kar Chipak Sa Jata.
Tu Mujh Ko Apni Unglion Sy Marora Karti.
Mai Terey Nakhoon May Latak Sa Jata.
Phir Tu Apni Sahelion Sy CHUPATI Mujh Ko.
Main Un Ko Dakh Kar Dar Sa Jata.
Tu Dunia Sy Chup kar Kahin Chipkati Mujh ko.
Aur is Tarha Main AMAR Ho Jata.
Kaash MAIN TERI HASEEN NAK KA CHooHA HOTA
Dekhna ChaHo Jo Hamare Pyar ko..
To Aao kaBhi ITWAar ko..
Tras gay hAn Tere Deedar ko..
ChaKkAr Lagao na isi ITWAar Ko..
Kya Khob sanwara he zulf E Talwar ko..
Saja lo apni Aankhen or
Lab o RukhsaAr ko..
Kab samjho gay hamare Pyar ko?
AA RAHE HO NA PHIR ITWAR KO

HAKOMAT waleyo jaan deyo
Menu FaceBook chalan deyo
Facebook di bachi munh pher na le.
Koi hor mundda Onnu gheir na le.
Garmi naal hun saaah ny sukde.
Tuadi pain de viyaah nai mukde.
Mobile di battery mukki payi a.
Paani wali tanky sukki payi a.
Toilet vich v jaa nai sakde.
Tishu naal kam chala nai sakde.
Ki ki apne dukhre dasiye.
Pal vich roiye pal vich hasiye.
O baaz v aa jao HARAM DEYO.
Thori jayi bijli te aan deyo..!!













Friday 26 October 2012

Funny Shayari


Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera..

Funny Shayari

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,
Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,
Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,
Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,
Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..

Funny Shayari

Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai
Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ny wo mere liye hi bana “rakhi” hai
Kehtay hain k “rakhi”hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene”rakhi” se laga”rakhi” hai
Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai
Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht”rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.

Uska rishta na hone ka bayas uska abba tha

Funny Shayari

Uska rishta na hone ka bayas uska abba tha,
Sab khairaan the usne aisa abba kahan se labba tha,
Samajh nahi aati bati dhaarein wo kiss se bahkhshaye,
Uski maa to feeder thi, aur suke doodh ka dibba tha,
Us jagah par kafi loki manatein mangne pohanche,
Pichle ware jaha par humne, moya kukad dabba tha.







urdu poetry sms

                                                                             Hum intezaar karenge
                                                                                          Hum intezaar karenge tera qayaamat tak
                                                                                          Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                         Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                       Hum intezaar karenge

                                                                                             Bujhi bujhi si nazar mein teri talaash liye
                                                                                              Bhatakte phirte hai hum aap apni laash liye
                                                                                                         Yehi junoon yehi vehshat ho
                                                                                              Yehi junoon yehi vehshat ho aur tu aaye
                                                                                                   Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                                Hum intezaar karenge

                                                                                           Naa denge hum tujhe ilzaam bewafaai ka
                                                                                                  Magar geela to karenge teri judaai ka
                                                                                                           Tere khilaaf shikaayat ho
                                                                                                       Tere khilaaf shikaayat ho aur tu aaye
                                                                                              Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                            Hum intezaar karenge

                                                                                            Yeh zindagi tere kadmon mein daal jaayenge
                                                                                        Tujh hi ko teri amaanat sambhaal jaayenge
                                                                                                      Humara aalam-e-rukhsat ho
                                                                                    Humara aalam-e-rukhsat ho aur tu aaye
                                                                                 Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                   Hum intezaar karenge

Zindagi Insan Ko Kabhi Zameen say Asman Par Ley Jati Hey,

Or Pher Kabhi Itni Bolandi Say Girrati Hey K Zindagi Mout Say Bhi Bad Tar Ho Jati Hay

Main Ney Jab Is Doniya Main Ankh Kholi To Bas Mujhey Ronay K Ilawah Or Koch Bhi Nahi Ata Tha, Bas Zindagi Or Halat Ney Mujhey Hasna Bhi Seekha Diya Or Rona To Mujhey Pehlay Say Hi Ata Tha

Zindagi Say Siraf Mujhey Khushi Hi Milli, Jab Bhi Mujh Say Doniya Ney Koch Dey Kar Dobara Chhena To Mujhey Rona Yad Ageya

Zindagi Ney Mohabat Ka Jazba Bhi Dil Main Peda Kar Diya, To Mujhey Laga Ak Haseen Doniya Maery Liya Banni Hey, Lakin Mujhey Kiya Malom K Yeh Jazbat Bhi Jhotey Or Yeh Log Bhi Jhotey, Pher Mujhey Appni Wohi Pehli Zaban Yad Aa Gayi

Zindagi Main Mohabat Kar K Mujhey To Dukh Hi Milla , Zindagi Main Yeh Talkhiyan Na Hon To Is Ka Naam Zindagi Hi Na Hota


                                                                   Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
                                                                    Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

                                                                Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
                                                                Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

                                                                            In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
                                                                            In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen

                                                            Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
                                                            Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta

                                                         Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se, Jo Bohot Hi Pyaar Hota
                                                          Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota

                                                                    Tera Har Marz Ulajhta, Meri Jaan-E-Na’tawan Se
                                                                     Jo Tujhe Zukaam Hota To Mujhe Bukhaar Hota

                                                                  Jo Mai Tujh Ko Yaad Karta, Tujhe Cheenkna Bhi Parta
                                                                  Mere Sath Bhi Yaqeenan Yahi Baar Baar Hota

                                                               Kisi Chawk Mai Lagate Koi Chooriyun Ka Khokhaa
                                                               Tere Shehr Mai Bhi Apna, Koi Kaarobaar Hota

                                                                          Gham-o-Ranj Aashiqaana, Nahi Calculatoraana
                                                                           Usse Mai Shumaar Karta, Jo Na Be-Shumaar Hota

                                                            Wahan Zair-E-Behs Aate, Khad-O-Khal-O-Khuye Khoobaan
                                                           Gham-E-Ishq Par Jo Anwer, Koi Seminar Hota

                                                                                                                            

                                                                                                                                                                              

Monday 22 October 2012

Yaad rakhna or phir bhula dena

                                                                      Yaad rakhna or phir bhula dena
Us ki aadat hai youn saza dena,,
Apni muhabat mein zara saadgi dekho,,
Jo chor jaye us ko bhi dua dena,
Wo kehta hai mohabat mein kuch faasla rahay,,
Hum chahtay hain apna sub kuch luta dena
Ik guzarish hai agr maan jao to
Wafa k badle hamesha wafa dena.

Aawargi mei hum ne is ko bhi hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna phir us se mukar jana,
Jab khwab nahi koi kya zindagi ka karna hy,
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana,
Shab bhar k Thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana
kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao Ge hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to Guzar jana.

Sham hote hi wo chokhat par jala kr shamma
apni palkon pe kai khwab sajati hogi
isnay silwa b liye honge siyah rang k libaas
ab matam ki tarha khushi wo manati hogi
mere tareek zamane se nikalne wali
roshni tujh ko meri yaad dilati hogi
dil ki masoom ragen khud hi sulagti hogi
junhi tasvir ka kona wo jalati hogi
roop dekar mujhe is me shehzady ka
bachon ko kahani wo sunati hogi
sochta hon k usy neend b ati hogi
ya meri tarha ashq bahati hogi.
Wo meri shakal mera nam bhulany wali
apni tasvir se kia ankh milati hogi
is zamin pr b hay selaab mere ashqon ka
mere matam ki sada arsh hilati hogi…










Sunday 21 October 2012

best poetry

                                                     Khali haathon ko kabhi ghor se dekha hai faraz
                                                     Kis tarah log lakeeron se nikal jaatay hain

                                                                             Yeh Jo Dard Hai Ishq Ka,,,
                                                                             Mujhay Is Sey Koi Gila Nahi,,
                                                                            Yeh Tou Zindagi Ka Usul Hai,,
                                                                              Kabhi Apna Koi Huwa Nahi,,,
                                                                           Yeh Jo Silsila Hai Dard Ka,,,
                                                                          YehTohfa Yuhee Mila Nahi,,,
                                                                         Tu Jisay Jaaan Kar Bhee Anjana Hai,,,,
                                                                          Woh Raaz Maynay Kaha Nahi,,,
                                                                      Mujhay Apni Khabar Tou Hai Mager,,,
                                                                           Teri Soch Ka Kuch Pata Nahi,,,
                                                                          Yeh Jo Ansu Hain Meri Aankh Mai,,,
                                                                            Bay Sabub Yeh Bahay Nahi,,,
                                                                           Yeh Sada Si Jo Hai Gunjtee,,,
                                                                            Wo Lafz Tu Nay Kaha Nahi,,,
                                                                                Mera Jurm Hai Meri Sadgi,,,
                                                                                  Meri Aur Koi Khata Nahi