Saturday 27 October 2012

very sad ghazal and sms

Pal main doori ho jati hai
Zaat adhori ho jaati hai

Aankhon main neend aati nhi
Raat poori ho jaati hai

Pehle to hoti hai Chahat
Phir Majboori ho jaati hai

Kuch logon ki lamha bhar main
Khuwaish poori ho jaati hai

Had se pyar guzar jaye to 
Aksar doori ho jaati hai 


Kya hua jo tumhara sath nahi
Mere hathoun mein tumhara hath nahi

Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat mein zarori mulaqat nahi

Mein sari umer tarsa hoo chahat ke liye
Mere naseeb mein shayad yehi sogaat nahi

Iss andaaz se bikher ke phir simat na saka
Mujhey samaitne wala koi haath hi nahi

Jis ki dosti peh naz thaa, wo dost bhi gaya
Kis garv se kaha maine koi baat nahi. 


Kbi zid mein tere ho gay,
Kbi dil ny tujhy ganwa dia.
Essi kashmakash mein rahy sada,
Tu ny yad rakha ya bhula dia.
Kabi baibasi mein hans diye kabi hansi ny hum ko rula dia.

kabi phool se rahi dosti
Kabi hath kanton se mila dia.
Kabhi aik ko apna na kr saky,
Kabhi khud ko sab ka bana dia.
Yun he din guzar gaye payar k,
Kabi ik khawab khud ko bana liya.
Jo khawab ubhray in aankhun main, 
Unhain aankh me he sula dia... 


Baarish huii to phuulon ke tan chaak ho gaye 
mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye 

baadal ko kyaa khabar ki baarish ki chah mey 
kitane buland-o-baalaa shajar khaak ho gaye 

jugno'n ko din ke waqt paka.dane ki zid kare'n 
bachchay hamaare ahad ke chaalaak ho gaye 

lehraa rahii hai barf kii chaadar hataa ke ghaas 
suuraj kii shah pe tinke bhii bebaak ho gaye 

suuraj dimag log bhii iblaag-e-fikr me'n 
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye 

jab bhii gariib-e-shahar se kuchh guftaguu huii 
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye 

saahil pe jitne aab guziidaa the sab ke sab 
dariyaa ke rukh badalate hii tairaak ho gaye 








Muhabbat ik Safar ka Silsila hai... 
Bhechar k Koun Kis ko Pohchta hai... 

Jesay Manga tha Maine har Dua may... 
woh Bin Mangay kisi ko Mil gaya hai... 

Jesay har dum dukh Milay ho'n.... 
Khushi ko woh kahan Pehchanta hai... 

Jesay Parwa nahi meri Zara bhi ... 
woh Shaks najanay raat bhar kion jagta hai...

No comments:

Post a Comment