Friday 26 October 2012

urdu poetry sms

                                                                             Hum intezaar karenge
                                                                                          Hum intezaar karenge tera qayaamat tak
                                                                                          Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                         Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                       Hum intezaar karenge

                                                                                             Bujhi bujhi si nazar mein teri talaash liye
                                                                                              Bhatakte phirte hai hum aap apni laash liye
                                                                                                         Yehi junoon yehi vehshat ho
                                                                                              Yehi junoon yehi vehshat ho aur tu aaye
                                                                                                   Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                                Hum intezaar karenge

                                                                                           Naa denge hum tujhe ilzaam bewafaai ka
                                                                                                  Magar geela to karenge teri judaai ka
                                                                                                           Tere khilaaf shikaayat ho
                                                                                                       Tere khilaaf shikaayat ho aur tu aaye
                                                                                              Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                            Hum intezaar karenge

                                                                                            Yeh zindagi tere kadmon mein daal jaayenge
                                                                                        Tujh hi ko teri amaanat sambhaal jaayenge
                                                                                                      Humara aalam-e-rukhsat ho
                                                                                    Humara aalam-e-rukhsat ho aur tu aaye
                                                                                 Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye
                                                                                                   Hum intezaar karenge

Zindagi Insan Ko Kabhi Zameen say Asman Par Ley Jati Hey,

Or Pher Kabhi Itni Bolandi Say Girrati Hey K Zindagi Mout Say Bhi Bad Tar Ho Jati Hay

Main Ney Jab Is Doniya Main Ankh Kholi To Bas Mujhey Ronay K Ilawah Or Koch Bhi Nahi Ata Tha, Bas Zindagi Or Halat Ney Mujhey Hasna Bhi Seekha Diya Or Rona To Mujhey Pehlay Say Hi Ata Tha

Zindagi Say Siraf Mujhey Khushi Hi Milli, Jab Bhi Mujh Say Doniya Ney Koch Dey Kar Dobara Chhena To Mujhey Rona Yad Ageya

Zindagi Ney Mohabat Ka Jazba Bhi Dil Main Peda Kar Diya, To Mujhey Laga Ak Haseen Doniya Maery Liya Banni Hey, Lakin Mujhey Kiya Malom K Yeh Jazbat Bhi Jhotey Or Yeh Log Bhi Jhotey, Pher Mujhey Appni Wohi Pehli Zaban Yad Aa Gayi

Zindagi Main Mohabat Kar K Mujhey To Dukh Hi Milla , Zindagi Main Yeh Talkhiyan Na Hon To Is Ka Naam Zindagi Hi Na Hota


                                                                   Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
                                                                    Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

                                                                Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
                                                                Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

                                                                            In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
                                                                            In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen

                                                            Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
                                                            Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta

                                                         Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se, Jo Bohot Hi Pyaar Hota
                                                          Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota

                                                                    Tera Har Marz Ulajhta, Meri Jaan-E-Na’tawan Se
                                                                     Jo Tujhe Zukaam Hota To Mujhe Bukhaar Hota

                                                                  Jo Mai Tujh Ko Yaad Karta, Tujhe Cheenkna Bhi Parta
                                                                  Mere Sath Bhi Yaqeenan Yahi Baar Baar Hota

                                                               Kisi Chawk Mai Lagate Koi Chooriyun Ka Khokhaa
                                                               Tere Shehr Mai Bhi Apna, Koi Kaarobaar Hota

                                                                          Gham-o-Ranj Aashiqaana, Nahi Calculatoraana
                                                                           Usse Mai Shumaar Karta, Jo Na Be-Shumaar Hota

                                                            Wahan Zair-E-Behs Aate, Khad-O-Khal-O-Khuye Khoobaan
                                                           Gham-E-Ishq Par Jo Anwer, Koi Seminar Hota

                                                                                                                            

                                                                                                                                                                              

No comments:

Post a Comment